Follow

Random Posts

Apne face prr chamak or Nikhar kaise laye( Face Glow Tips in Hindi:)-

Apne face prr chamak or nikhar kaise laye(Face Glow Tips in Hindi): -      

Kya aap apne chehre ko gora banane ke liye khub sare mahnge product ka use karke thak gayi hai? Lekin koi bhi fayda nahi mila hai. Saath hi aapki skin aur bhi kharab ho chuki hai. Aise mai accha hoga ki aap natural cheezo ka sahar lijiye.

Isliye aapko aise product use karne ki jarurat hai, jisse aapko bahut fayda milega. To Aaiye article is Aaj Ke Hum aapko Jariye Face Glow Tips in Hindi Hai Ke Baare Batate mai.
Gorepan mai kami aane ke kai karan ho sakte hai, jese kadi suraj ki dhup, pollution, wrinkle ya phir chehre par daag-dhabbe aadi. Bajar mai milne vale skin care product sensitive skin ke liye hanikarak hoti hai. Behtar hai ki aap ghar mai rakhi natural cheezo ka use kare, kyoki inse kisi bhi prakaar ki koi haani nahi hoti hai.
Dekha gaya hai ki, aapke chehre ka nikhar aapke personality ki sachai batata hai. Aap ki twacha ki khubsooarti ke liye hum aapko sirf herbal cheezo ka istemaal karne ki salah de rahe hai. Jisse aapko koi bhi nuksaan nahi hoga.
Vese aaj kal ki busy life mai, logo ke paas itna time nahi hota hai ki, vo log aapne upar jyada dhyan de paye.Isliye hum aapko sirf aise cheezo ki jankri denge jo aapke ghar mai jaldi se mil jaye. Saath hi faydemand bhi ho.
Agar aap bhi apni twacha ko sundar banana chahte hai, to aaj se inn tariko ko apna kar apni twacha ki khoi huye khubsoorati ko vapaas laiye aur hamesha ke liye isse barkarar rakhiye.

Image result for Face Glow Tips in Hindi

Face Glow Tips in Hindi: Jhat se Gora Banane Vale Face Pack

Nikhar pane ke liye mahngi se mahngi cream, lotion ka istemaal karna band kar de aur humare dwara bataye jane vale Gharelu upchar ke dwara apna roop nikhare.
Baking Soda
  • Baking soda aur pani mila kar paste banaye. Isse chehre par 15 minutes ke liye lagye.
  •  Dhyan rahe ki, iss paste ko chehre par lagane se pahle face wash se apne chehre ko dhole.
Chandan aur Besan
  • Twacha ko sunadr banane ke liye accha hoga ki aap chandan powder ko use kijiye. Kyoki yeh dono mai antioxidant ke khas gun paye jate hai.
  • Iske liye aap besan aur chandan ko mix kijiye aur usme thodasa dudh bhi mila kar gadha paste banaiye. Ab iss paste ko apne chehre par lagaiye aur sukhane par thande pani se apne chehre ko dho lijiye.
Dudh aur Kela
  • Pake huye kele ko thode se dudh ke saath mila kar paste bana kar chehre par lagaye. 20 minutes ke baad chehre ko dhole.
  •  Isse aapki skin bahut chamkdar ban jayegi.
Gulab Jal
  •  Yeh aapke chehre ka tone kar ke aapki skin ko poshan pahuchata hai. Rose water ko milk ke saath milakar face par apply kare.
  • Accha hoga ki aap ise raat mai sone se pahle chehre par lagaye. Isse twacha white banegi.
Aloe- Vera Gel
  • Skin whitening Ke Liye Aloe vera Gel Bahut accha HaikYeh aapki Twacha Ko Hota gora, saaf Karke aapki Skin Banaye Rakhata Ko Ki Hai Nami.
  •  Isse chehre aur gardan par 30 minutes ke liye lagaiye. Phir sade pani se face wash kar lijiye.
Sunflower Seeds
  •  Thode se Sunflower seeds ko raat bhar dudh mai bhigo dijiye. Phir subah isme haldi aur kesar ki kuch matra mila de.
  •  Iss paste ko chehre par 15 minutes tak laga rahne de phir face wash kar le. Ise week mai 2 bar kare jisse aapko jaldi hi result milega.
Aam Ka Chilka
  • Face Glow Tips in Hindi mai Ki Yeh Hai Bahut Asardar Tarike, Thode SE AAM Ke Ke Saath Chilke Ko Dudh Piskar bana le Paste. Phir ise chehre aur gardan par 25 minutes ke liye lagaiye.
  • Baad mai sade pani se face ko dho lijiye. Isse aapki skin chamkdar aur gori hogi.
Avocado Face Pack
  • Avocado aapki twacha ke liye bahut accha hota hai. Isme lactic acid hota hai. Jisse aapki twacha mai accha nikhar aata hai.
  •  Dahi, avocado aur shahad ko acche se mix kar lijiye. Ab iss paste ko apne chehre par lagiye aur sukhne par sade pani se apne chehre ko dho lijiye.
  • Iss face pack se aapki twacha mai sundarta aati hai. Kyoki isme fatty acid bhi hota hai. Jo lambe samay tak aapki twacha ki sundarta ko banaye rakhta hai. Saath hi anti-oxidant ke gun se bharpur hone ke karan isse aap aasani se glowing skin pate hai.
Shahad
  • Shahad ki kuch bunde ko nimbu aur thode se dahi ke saath mix kar ke chehre par lagaiye. Aur 15 minutes ke baad saaf kar lijiye.
  • Iss aapke chehre ki gandgi saaf ho jaygi aur skin naturally glow karenga.
Sugar se Scrub Kare
  •  Sugar ko nimbu ke ras ke saath mix kare aur halke hatho se chehre par ragde.
  • Isse aapki dead skin khatam ho jayegi tatha skin glowing dikhegi.
Nariyal Pani
  • Din mai do bar chehre par nariyal pani lagaye.
  •  Isse skin ke daag dhabbe, wrinkle saaf ho jayege tatha aapki twacha gori ban jaygi.
Image result for Face Glow Tips in Hindi
Papita , Shahad aur Nimbu
  • Papita mai papain naam ka tatva paya jata hai, jo prakartik tarike se aapki skin ke liye faydemnad hota hai.
  • Yeh dead skin ki layer ko bahut jaldi hata deta hai. Isliye aap rozan iss antibacterial ke gun se yukt pack ko lagaiye aur sundar twacha paiye.
  • Is face pack ko banane ke liye patita ko pis kar usme shahad aur nimbu  mila lijiye. Ab iss paste ko apne face par lagaiye. Tatha sukahne par sade pani se chehre ko dho lijiye.
Honey aur Almond Scrubber
  • Face Glow Tips in Hindi mai iss face pack ki mukhaye bhumika hai. Badam mai vah shakti hai, jo aapki twacha ka rang gora kar sakti hai. Isse aapki skin andar se glow karegi.
  • Raat bhar 10 badam ko pani mai gala dijiye. Subah utkar iska pani chhan kar paste bana lijiye. Ab iss paste ko apne chehre par lagaiye aur scrub ki tarah massage kar ke hata dijiye.
Kesar
  • Yeh paste banane ke liye aapko dahi, cream mai thodi si kesar ki jarurat hai. Ab inn sab ko acche se mix kijiye.
  • Is paste ko apne chehre par lagaiye aur sukhane  par garam pani se apne face ko dho lijiye.
Badam aur Chironji aur Gulabh ke Phool
  • Badam gulabh ke phool, chironji aur pisa hya jayfal ko raat bhar ke liye dudh mai bhigo dijiye. Subah utkar isse piskar iska uptan bana lijiye.
  • Ab ise apne chehre par lagaiye. Tatha sukhane par thande pani se apne chehre ko dho lijiye. Isse aapko adhbhut laabh milega.
Neem, Gulabh, Gendha Phool ki Patti
  • Neem, gulabh aur gende ka phool ki pattiyo ko raat bhar pani mai bhigo dijiye. Subah utkar isse pis lijiye.
  • Ab iss paste ko chehre par lagaiye tatha sukhane par thande pani se face ko dho lijiye.

Face Glow Tips in Hindi: Mask ke Alava Kuch Khaas Baate

Pani ka Jyada Sevan Kare
  •   Pani ka sevan jyada kare, kyoki pani sharir ki gandgi ko bahar nikal deta hai.
  •  Saath hi aapke chehre ko tight banakar wrinkle ko khatam karta hai. Is karan aapki skin nikhar jati hai.
Acchi Neend
  • Har vyakti ko 8 ghante ki neend leni jaruri hai.
  • Isse aankho ke niche dark circle nahi hote hai. Saath hi isse natural glow bana rahta hai.
Upar aapne Face Glow Tips in Hindi ke bare mai jankari mil gayi hai. To bas apni skin ko naturally glow banaiye aur sundar dikhiye. 
TO DOSTO APKO YEH TOPIC KAISA LGA PLS COMMENT M BTAYE -






Share on Google Plus

About Unknown

    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment