Follow

Random Posts

Adsense se paise kmana ha asaan,agar atta ha tarika se kaam.

Hello friends, apka www.rhtmahey.blogspot.in pe swagat ha,aaj ma apko batuga ki hum adsense se jyada se jyada paise kaise kmaa skte ha ,bhut simple ha bss apko thodi mehnat krni pdegi or meri btayi huyi baato ko follow krna hoga to jyada time na lete huye topic prr aate ha.



Mere bhut sare friends ka maan na ha ki hindi blog se hum jyada paise earn nhi krr skte lekin ma j nhi manta kyu ki, manu bhi to kaise kyuki mera manna hai ki hum kisi bhi language ke blog par adsense se badiya income kar sakte hai. Bas iske liye hume kuch bato ka khyal rakhna hota hai. Jiske bare me mai yaha aapko bta raha hu. Shayad aapko in tips se kuch fayda mil jaye. 


Aapne bhi is metter ke bare me bahut bar suna hoga ki india me ya hindi site par adsense bahut kam pay karta hai. India me google adsense per click $0.02 to $0.05 hi pay karta hai. Hum hindi blog par adsense se $5 to $10 kabhi nahi kama sakte. Inke alawa bhi ayse hi bahut se sawal aapne logo se sune honge or shayad ye information bahut si websites blog par bhi mil jaye.
Actually, Ye bate bilkul sahi nahi hai. Sirf itna sach hai ki india me USA, UK jaise other country ki tulna me adsense CPC kam hoti hai. Iski wajah humare indian product se google ko kam comission milta hai. Aapne dekha hoga ki humare hindi blog par jyadatar indian ads hi show hote hai. Or india me dollar ki value jyada hone se koi bhi product company google ko jyada pay nahi kar pati hai.
Sach ye hai ki adsense language se nahi keywords se related advertisment show karta hai. Use jis ad product par jitna jyada comission milta hai wo hume bhi utna hi jyada commission deta hai.

Hindi Blog Par Adsense Se Jyada se jyada Paise Kaise Kamaye Secret Tarike:



Hum adsense se daily $100 ya iss se bhi jyada earn krr skte ha,Magar sirf kuch hi log hote hai jo metter ke asali reason ko catch kar pate hai. Baki sabhi ka ek hi jawab hota hai its impossible. Ab aapko tay karna hai ki aap kis type ke blogger ho. Mai aapko suggest karunga ki adsense ko ache se samajho. Meri garantee hai aap bhi adsense se achi earning kar sakte ho.


In this case, Kuch hindi blogger hai jinko adsense se achi CPC nahi mil pati hai to wo english me blog banate hai or jab unhe english me bhi success nahi mil pati hai to wo dusre logo ke piche pad jate hai. Please is work se bacho or mehanat karo.
 Apne aap par wishwas karo aap kar sakte ho. Yakinn aap bhi google adsense se paise kama sakte ho. Bas aapko apne aapko kabu me rakhna hoga.Apne kaaam se mtt bagho just focus on your work or nirash mtt ho  Kyuki j nirasha hee inshan ko kha Le jaye pta nhi . Apko motivate krne k liye Special thoughts :


For Example, Aap agar hindi blogger ho to hindi me hi blogging karo. Asafal hone ke dar se english ya kisi or bhasha ke piche mat bhago, Agar aap acha work karoge to aapko uska acha result hindi blog par hi mil jayega. Apne aapko ko strong banao or sahi rasta choose karo or ek bar jis raste par chal pado use kabhi mat chodo.or chinta mtt kro sirf apne kaam prr focus rkho.

Agar aapme power hogi to aap hindi field me bhi wohi kar sakte ho jo english me karte ho. Un logo se mat judo jo khud fail hone par dusre success logo se jalne lagte hai or unki kamiya nikalte firte hai. Life me iske alawa bhi bahut kaam hai or ho sakta ho.Or sabse important baat dusro ki galtiyon se sikho ki usne hindi ko shodkar english blog bnanaya or usme v fail ho gya . Or ekk baat  jo bhi kro mnn lga krr kro  



Friends mera kehna ha ki aap jis language ko acchi tarah se samjte ho uss language m  hee blog bnayo or khoob mehnat kro har parstithi ka samna kro .



Hindi Blog Par Google Adsense Se Jyada se jyada  Paise Kamane Ki Secret Tips:

Mne pehle v btaya ki Hum adsense se daily $100 ya iss se bhi jyada earn krr skte ha Agar aapme power hogi earn krne ki  Actually, hindi blogging karne me aapko kuch bato ko follow karna padega jo aapke blog ko quality content site banati hai or jinse na sirf aapko adsense se jyada CPC milegi balki aapke blog par organic traffic bhi jyada aayega. Yani site par search engines se bhi traffic badhega.
1. Simple Words: 
Hindi blogger humesha hi Post title ko  hindi language me hi type krte ha jis se post search result me nhi aa pati to hum  usse search m lane k liye bhut paryatan krte ha lekin  Hindi blogging me hum words ko sirf hindi font me hi kyu likhte hai jaise hindi ko “हिंदी” or blog ko “ब्लॉग” jo ki Search engines me achi postion banane me success nahi hai. (Is time google hindi font se jyada hinglish font me likhe content ko jyada achi position me show karta hai. Ho sakta hai future me google hindi font ko hinglish font se jyada better result dene lag jaye.) So mai aapko hinglish me likhne ki advice dene ki galti nahi karunga kyuki mai nahi chahata ki aapko meri wajah se kal ko success na mile.
Generally, Some simple and daily work me use hone wale english words ka matlab sabhi jante hai jaise better, like, success and other. Agar aap in daily use hone wale shabdo ko hindi ki jagah english ya hinglish me likhe to aapko adsense or google search dono se better result mil sakta hai.
Isi tarah aap kuch important words ko hinglish ya fir english me use kar sakte ho. I sure isse aapki site ki search rank increase hogi or adsense CPC bhi badhegi.
2.Mostly  Use English Keywords: 
Hum jab bhi apne blog par koi post likhte hai to uska koi na koi main keyword hota hai. Yani hum kis topic par post likh rahe or kiske bare me is post me jankari de rahe hai. Ye sabse important metter hai. Yaha focus karne wali bat ye hai ki aap main keywors ko har bar hinglish ya english me mat likho balki dono me likho. Yani kuch jagah par hindi font me or kuch jagah par english font me. (Yaha mera matlab ye nahi hai ki aap puri hi post ko hindi or english se full kar do. Balki kuch jaruri words ko hi english me likhna hai.)
Isse aapko hindi or english dono type ke keywords searching se fayda milega. Example mai is post me hindi blog par adsense earning ke bare me post kar raha hu to mai ise agar ek do jagah par english me likh sakta hu. 

3.Best  Keywords Situation: 
Mene kyi baar dekha ha ki mere kuj friends puri post m sirf english ya hinglish keywords hi use krte ha  Aapko puri hi post me english ya hinglish keywords use karne ki jarurat nahi hai. Kisi bhi content me first and last paragraph sabse jyada important hote hai so aap post ke first or end wale paragraph me english keywords use karne me jyada focus karne ki koshish kare. Baki paragraph me aap hindi me hi keywords use kar sakte ho.
Post content me keywords placment jitna sahi hoga uski search rank utni hi badiya hogi. Wo post google me first postion par show hogi. Ye bat google apni blog post me clear kar chuka hai. Yani aapko post content ko SEO friendly banane ke liye english and hinglish keywords use karne hai. Ab ye aap par depend karta hai ki aap isme kitne success hote ho.

4. Only Write Hindi:
Mere kuj friends ko lgta ha ki hindi m blogging krna asaan ha Agar aap hindi blogger hai to ye bhool jayiye ki hindi me content likhna bahu easy hai. Actually, Hindi language me likhna bahut mushkil hai or isme ek ek word ka dhyan rakhna padta hai. So shudh hindi ka prayog kare or ek dam perfect hindi bhasha me post likhe.

Pure hindi me likhe content aapke visitor, search engines, google adsense and all other sabhi ko pasand hote hai. Isse google adsense aapki post me keywords se related ads show kar sakega. Sath hi aapko searh engine se acha traffic bhi milega.
3.HOW TO SET 3G OR 4G INTERNET SETTING IN DONGLE ( DONGLE ME 3G OR 4G INTERNET KI SETTING KAISE KRE )


 4."LIFE KYA HA OR ISSE KAISE JIYA JAYE"

5. Keywords Research: 
Mere bhut sare friends ko lgta ha ki keywords reasearch sirf english blogger k liye ha or Bahut se new blogger sochte hai ki keywords research sirf english blog ke liye hota hai. But aysa nahi hai. Keyword researching hindi blog ke liye bhi bahut important hoti hai.
Agar aap bina keyword search kiye koi post likhte ho to uski koi importance nahi hoti hai. Wo bilkul wesa hi hota hai jaise kisi room me rakha disorganized samman. Jisme koi bhi cheez ka pata nahi hota hai or sabhi ki same position hoti hai. Aap keywords search karne ke liye google adwords keyword planner tool and other tools ko use kar sakte hai. Agar aap adsense user hai to aapke liye adwords planner tool better hai. Kyuki is par aapko keywords adsense CPC ki bhi performance pata chalti hai. Isse aap high CPC keywords ko apne content me add kar sakte ho.
To j lijiye friends, aaj mene aapko btaya ki adsense se jyada se jyada paise kaise kmaye muje umeed ha ki aapko acche se samaj aa gya hoga or agar aapko koi problem ha to aap hume comment krke pussh skte ha .
 so please iss post ko like and share jrur kre .

Regards by,
Rhtmahey
Share on Google Plus

About Unknown

    Blogger Comment
    Facebook Comment

1 comments:

  1. It's very nice of you to share your knowledge through posts. I love to read stories about your experiences. They're very useful and interesting. I am excited to read the next posts. I'm so grateful for all that you've done. Keep plugging. Many viewers like me fancy your writing. Thank you for sharing precious information with us. I am feeling blessed to share with you our Web Development and SEO Platform from Islamabad Pakistan. Social Media Marketing Expert in Islamabad

    ReplyDelete