Follow

Random Posts

'' Padhai Kaise Kare Hoshiyar kaise Bane ''






Padhai Kaise Kare Hoshiyar Banane Ke  Tarike


Hello friends, mene mere pichle article me likha tha ki exam me top kaise kre Aaj hum janenge ki exam ke liye sahi rup se padhai kaise kare Sabse pehle padhai main man na lagne ke karan ka pata lagana chaiye ki aakhir padhai main man kyu nahi lag raha hai ?


Image result for Padhai Kaise Kare Hoshiyar Bane
Image result for Padhai Kaise Kare Hoshiyar Bane


KARAN-

Mere hisaab se kuch normal karan ye ho sakte hain

  • Padhai ka normal mahol na hona.
  • Padhne ka sahi time na hona.
  • Padhne ke liye sahi samaan ka na hona.
  • Sahi margadarshan ka na hona.
  • Concentration ka kam hona.
  • Confidence ka na hona.
  • man ka chanchal hona etc.                                                                                           Mere khayal se upar likhe gaye karan se log nahi padh pate hai, inke alawa bhi anya dusre karan ho sakte hain, jo alag alag logo ke alag ho sakte hai.                                                                                                                                     Aaj inhi sadharan karan par baat karte hai. Ye sare karan mai jo mahatvapurna karan wo hai sahi margadarshan ka na hona.
  • Sahi margadarshan ka  competitor ki exam mai sabse mahatvapurn karan jagah hai. 
Jaise apko agar delhi jana hai, aur apko sahi rasta maalum nahi hai, agar apko sahi margadarshan nahi mili toh ho sakta hai, ki aap kisi tarah se delhi pahuach bhi jaye but isme apka bhut jayda time aur paise bhi waste ho sakte hai.
Magar sahi margadarshan milne par aap time ke sath paise bhi bacha sakte hai and apne lakshya par bhi time par pahunch sakte hain.
Sahi dhang se tayari shuru karne ke liye ek shi margadarshan bahut important hai.dusri taraf kuch log hard work less karte hain fir bhi wo success ho jate hai.
Iska karan unka sahi way mai mahatvapurn prayaas hota hai.
Jaise – agar hum keel ko ulta pakadkar kitna bhi jor se dewar main thoke wo nahi thok sakti hai. Agar use sidha kar dene par wo thodi koshish karne par hi aram se thuk jayegi. Isi trah competitor ka sahi way mai sahi sahi koshish karna bahut jaruri hai. Padhiye Smart aur intelligent kaise bane. margadarshan bahut important hai.
Kai baar hum hard work aur bahut koshish toh karte hai but success nahi hote.
Sabse pehle toh padhne ke liye ek lakshya (target) hona jaruri hai, yeh hamare liye ek prerna(motive) ka kaam karta hai. (Padhai Kaise Kare).
Agar lakshya (target) nirashrit (Destitute) hai, toh hamari success Doubtful hogi.
Ek lakshya (target) hona bhut important hai. Ek se jayda lakshya (target) hone par man bhatakta hai aur padhai mai man nahi lagta hai.
Ab lakshya (target) fix karne ke baad sahi preparation jaruri hai, means hume apne lakshya (target) ke bare main poori jankari(information) jutaani hogi, ki exam kaise hogi.
  • Syllabus kya hai ?
  • Pattern kis tarah ka hai ?
  • Question kis tarah ke aate hai?
  • Lesson summery kaha se milegi, kaise milegi ?
  • Class teacher k diye hue test
  • Tayari ki Strategy kya hogi ?
  • Success ke liye kitni mehnat jaruri hai ?
  • Success logo ki kya planning rahi thi ? etc.
Agar hum in questions ke answer dhund lete hain toh humari problems ka aadha(half) solution ho jayega. Ab half solution ke liye hume apne schedule ko set karna hoga. Matlab self management, agar hum khud ko sahi tarike se comptetion ke hisaab se nahi change kar pate toh success mai doubt hoga.
Hume apni padhai ka time aur hours apni kshamata(capacity) ke anusaar fix karne hoge. Fix time period ke sath anusaran(follow) karna hoga. Iske liye hum ideals insaan, ideals articles, ideal books etc ki help le sakte hain.
Study humesha chair table par baithkar kare, bed par letkar bilkul bhi na padhe. Letkar padhne se padha hua kabhi dimag main hi jata, ulta neend aane lag jati hai. (Padhai Kaise Kare).
Padhte time television na chlaye aur radio and song bhi band rakhe.
Padhai ke waqt mobile switch off karde ya phir silent mode mai rakhe, “mobile padhai ka dushman(enemy) hai”.
Padhe hue lesson ko likhte bhi jaye isse apki concentration bhi bani rahegi aur bavishya ke liye notes prepare ho jayege.
Koi bhi lesson kam se kam 3 times padhe.
Ratne ki adat se bache, jobhi padhe uspar thoda vichar jarur kare.
Short notes jarur banaye jaise wo exam ke time kaam aye.
Padhe hue lesson par soche aur discuss kare apne friends ke sath, group discussion study mai jaruri hota hai.
Old questions paper ke anusar important topic ko select karle aur unhe ache se prepare karle.
Sahi food le kyuki jayda food khane se neend and alas ata hai, jabki kam food lene se padhne main man nhi lagta hai, aur thake hue, dimaag(brain) pain etc problems aa jati hai.
Picture, map, graph etc ki help se study kare. Ye jayda time tak mind mai rehte hai.
Study mai computer aur internet ki help le sakte hai.
Is trah se aap padhai main man laga sakte hai, agar fir bhi padhai me man nahi lagta toh aap comment main apni problems likh sakte hai.
Share on Google Plus

About Unknown

    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment