Follow

Random Posts

Top Kaise Kare – Topper Kaise Banete ha 




Image result for Top kaise kare


Kya aap jante hai kisi bhi tough se tough exam ko clear karne aur usme top karne liye kisi student me kya hona sabse jaruri hai. Shayad kuch log jante honge but bhut se log is baat ko kabhi sun kar bhul chuke honge, to  hum aapko fir se aur shi se vo batate hai. Kisi bhi Exam me Top karne ke liye sabse jaruri hai, Will Power.


Image result for Top kaise kare




Agar aap sach me Topper banna chahte hai to aapko apna saara dhyan ek taraf lagana hoga jo hai,Right Preration of the Exam. Agar aap faisla kar lo ki aapko top karna hai aur uske liye aap puri siddat se apna 100% effort do to aap definitely koi bhi exam as a topper clear karoge. Now let’s begin with the points..
  1. Full Night Padhai Karna Avoid Kare
Image result for Top kaise kare
Bahut se students aise hai jo puri puri raat padhne me kaat dete hai but unhe yaad thoda hi hota hai. College ke students aisa mostly karte hai but ye ek bura idea hai doston. Kisi mahan psychologist ne kaha hai ki raat bhar padne se yaad to jaroor hota hai but sirf 4 ya 5 din ke liye… na ki long time ke liye. Or iska result kam grade ke roop me nikalta hai. But dosto agar aap jabrdasti apne aapko early morning uthate ho to ye bhi ek bura idea hai. So, kahne ka matlab hai aap raat ko halka khana kha kar jaldi so jaaye aur raat ko achi neend le or subah 3-4 baje uth kar regular study kare, aise ki gyi study aapko der tak yaad rahegi aur aap exam me puzzle nhi hoge.
  1. Dyan ko study ki or focus kre
Research se pata laga hai ki jyada  study karte time music sunte hai, friend ko text karte hai ya fir television dekhte hai. Aise me doston padha hua bhi yaad nhi hota, kyunki aapka dimag ek saath bahut saare kaam kar rha hota hai aur kisi bhi cheez ko theek se samajh nhi pata kyuki kuch samajhne ke liye mentally focused rehna bahut jaruri hai. Ye sab chize hume distract karti hai. Agar aap such me music sunna chahte hai to aap slow volume me instrumental music sun sakte hai jo aapke dhayan kendr ko or bhi strong banata hai.
  1. Group Study
Image result for Top kaise kare
Top karne ke liye hamare paas ek or tips hai….. study with a friend ya study group (face to face or online) iske kai advantages hai. Group study me aap kai amazing ideas discuss karte hai. Difficult topic me apne friend ki help kar sakte hai ya unse hep le sakte hai. Apne group me friend ko motivate karna. Study se related quiz game khelna. Apne fellow student ko teach karna bahut hi behtar tarika hai yaad karne ka. Or ye bahut hi acha example hai kisi bhi topic ko apne words me explain karna. Isse aap sure ho jaate hai or confidence level bhi badta hai. Or dosto agar apke paas study buddy nahi hai to aap apne family member ya best friend ya fir apne ghar ki cat ko bhi teach kar sakte hai. Jis topic ke baare me aap jyada sochoge.. aap utna hi topic ke baare me clear rahoge.
4.   Exerise kre
Ye bahut hi important point hai doston, isliye ise dhayan se padhe. Science kahta hai ki 20 minutes ki exercise hamari memory ko improve karta hai. Chahe aap dance kare ya jogging…. exercise aapke body ki energy ko increase karta hai or sath hi sath stress ke effects ko reduce karta hai. So dosto agar aap long time se padhte hi jaa rahe ho to ek lambi walk bhi aapko fresh kar sakti hai so do it.

  1. Meditation kre
Study kehti hai, meditation student ko padhai me focused rahne ke liye help karti hai, isse aapka dhyaan important cheez  par bana rehta hai aur faltu me dimag idhar udhar ki baate nhi sochta. Par doston meditation sirf padhayi me concentrate karne me hi help nhi karta balki ye exam stress ko to reduce karti hi hai sath hi mental and physical health ko bhi improve bhi karti hai. Agar aap din me 5 minute bhi meditation kar lete hai to aap feel karoge ki aapko bhut saari energy mil gayi hai aur isse aapka dimag bhi shant hota hai jo exam time ke liye bahut jaruri bhi hota hai.
  1. Study Breaks jarur le
Ek saath limit se jyada study karna bhi ek buri cheez hai. Jab aapka dimag kaam kar rha ho to usse regular study breaks ki jaroort hai. Iski help se aapka brain jyada information aasani se absorb kar sakte hai. Doston jab bhi aap study kar rhe ho to apne aap ko motivate or focused rakhna behad jaruri hai. 45-50 minutes ki study ke baad short break lena na bhule. Bina study break ke aapka focus or concentration kharab ho jayega.
Jaise chaye (चाय) ke liye cheeni (चीनी) jaruri hoti hai par jarurat se jyada चीनी daal do to चाय peene layak nhi rahti usi tarah agar dimag par ek saath jarurat se jyada pressure daala jaaye to dimag overloaded ho jata hai aur yaad ki huyi cheez bhi time par yaad nhi aati. Isliye Intelligent students study ke time beech beech me Study Breaks lete rahte hai aur hamesha mind ko fresh and stressfree rakhte hai.

Dosto agar aapko humare tips pasand aaye to comment or like karna na bhule. Agar aap kuch kehna chahte hai to niche ▼ comment kare aur tips ke liye hamare saath aise hi banne rahe.

Regards by,
Rht Mahey









Share on Google Plus

About Unknown

    Blogger Comment
    Facebook Comment

0 comments:

Post a Comment